Categories Android

Android Mobile Battery Save karne ki Sabse Achhi Tips/Tricks

Aaj main aapko Android Mobile ki  Battery save karne ki tips batauga jiski help se aap apne Android Mobile ki Battery save kr sakoge. Aaj ke time Har kisi ke pass Android Mobile hota hai. But Android mobile me sabse important work battery ka hota hai. Battery Save karne ke vaise to bahut saare tarike hai. Lekin main aapko kuch aise Tips batane ja rha hu. Jisase aap jyada se jyada battery save kr sakoge. Agar mobile me battery na ho to mobile kisi bhi kaam ka nhi rahta. kuch Mobile ka battery backup Achha hota hai but jyada Tar mobile me 1800-2000 mAh ki battery hoti hai jo ki bahut ji jaldi low ho jati hai. or agar hum Mobile par internet chalate hai us time to or jyada battery khatam hoti hai. Lekin bina Android mobile ke bina kaam bhi to nhi chalata.

android MOBILE BATTERY SAVE TRICKS

 

Android Phone Me Battery Save Kaise Kare –

aaj ke time hum computer pe hone wale work ko mobile pr bhi kr sakte hai. to Android mobile sabki pasand banta ja rha hai, usme ek sath bahut saari application par work kar sakte hai. internet bhi fast chalta hai. mere kahne ka matlab yhi hai ki aaj ke time android mobile inshan ka dost bhai helper sab kuch ban gya hai. to esliye mobile ke battery jaldi finish ho jati hai.. but jab aap meri di huyi Tips/Tricks ko use karoge to aap apne mobile ki bahut saari battery save kr sakoge.

1. Use Original Charger

Sabse pahle To aapko ye yaad hona chahiye ki jis Charger se aap mobile charge karte hai wo Original hai ya nhi. kyuki jayda tar log original charger ke kharab hone ya khone ke baad apne mobile ko kisi bhi compamy ke charger se charge karte hai but ye bilkul bhi safe nhi hota aapke mobile or battery ke liye. kyuki galat company ke charger se mobile charge karne par aapki battery kharab bhi ho sakti hai or mobile bhi. esiliye jo charger jis mobile ke liye bna hai us mobile ko usi charger se charge karna chahiye. or dussri company ke charger se mobile charge karne pr mobile charge to jaldi ho jata hai but charger ke nikalane ke kuch hi ganto me battery low bhi jo hati hai to humesa original charger ka use kare.

2. Turn Off  Wifi  HotSpot

Hostspot to aap jante hi hoge ki hotspot kiske liye use kiya jata hai. jisko nhi pta main batata hu hum  hotspot ka ki help se internet data ek dusare ke sath share kar sakte hai matlab ki ye ek data sharing option hota hai jisaki maddad se internet share hota hai. lekin hotspot use karte hai mobile ki battery bhi bahut jaldi jaldi low hoti hai. esliye hotspot ka use km kare or hotspot ka use na hone pr hotspot ko off rakhe kyuki eske on rahne pr bhi battery % khatam hoti hai.

3. Turn Off GPS

Gps ( Globel pojition senter ) Gps ka use currect location dekhane ke liye hota hai. waise GPS bahut hi faydemand chij par eska upyog na karte waqt esko off rakhe kyuki ye sabse jyada battery kow karta hai. humne dekha hai ki hyadatar log espe dhyan nhi dete hai or unki battery bhi jaldi finish hoti hai. GPS ka use hone pr hi esko on kare warna esko off hi rakhe esase aapki battery ki % bahut kam low hogi.

4. Set Auto Mode Screen Brightness

 
Sabse jyada important tips hai ki apni Mobile ki brightness ko apne hisab se set kare. or agar baar baar brigthness ko kam jyada karne se pareshan hai to sabse achha uppaye ye hai ki brightness ko Auto mode me rakhe esase aapke mobile ki brightness autometic adjest ho jayegi. Brightness se jyada battery low hoti hai par slow light me mobile ki screen pr kuch dikhta bhi nhi hai or na hi mobile achha lagta hai andhere jaisa but jab aap brightness ko auto mode me set kroge to brightness apne aap set ho jayrgi.

5. use only working apps

 
Humne dekha hai ki bahut logo ke mobile me etni saari app install hoti hai ki pucho mat or wo un apps me se bss unhi apps ko chalate hai jinki unko jarurat hai but fir bhi bina faltu ke apps ko install karke rakhte hai par unko ye nhi pta hota ki har ek wo app jo mobile me install hai wo estemaal nhi karne par bhi battery khata hai. Bahut logo ko pta nhi hota or wo bahut saari apps install kr lete hai fir unke mobile me battery problam bhi jaldi aa jati hai, to only wahi app ko install kare jo aap use karte hai baaki ke apps ko unstall kar de.

6. Charge Full Battery

Mobile ki battery ko humesa full charge kare. aisanakare ki 50-60% hote hi mobile charge se nikal liya or fir 2-3 gante baad fir se charge me lga diya aisa karne se battery backup pr bahut fark padta hai or aapki battery bhi kamjor ho jati hai esliye humesa mobile o full charge kare or yaad rakhe agar mobile ki battery 10-15% se kam hai to mobile ko charge lga de. kyuki ese time me mobile me work karne pr battery ki halat or kharab ho  jati hai, to humesa mobile ki battery full charge hone par hi charge se hataye.

7. Games kam hi rakhe

 
Ab kisi ke pass Android Moible hoga to usme game bhi pakka hoge. Lekin battery Low karne me Game ka bhi bahut bada Yogdan rahata hai. Andorid device me Game chalate waqt to battery khate hai par. unko chalate ke baad bhi wo bettary khate hai, agar aapko dekhta hai ki game nhi chalane ke baad bhi battery kaise low karte hai to aap Setting>apps>game name pr click karke dekh sakte hai ki game ki detail me Force stop aa rha hoga matlab ki aapka game abhi bhi chal rha hai but jab aap force stop pr click kr doge to aapka game band ho jayega esa karne se bhi battery save karne mai maddad milti hai. waise yha tk ho sake to game ko install hi na kare agar aap bettary save karna chahte hai.

agar game install bhi  hai to aap force stop karke bhi game ki performance rok sakte ho.

FInal Word – 

Friends Ye thi Jakari Android Phone Ki Battery Save Tips Karne Ki. Jisaki Madad se aap apne mobile phone ki battery jyada se jyada save kar sakte hai. Agar Aapko humri ye post Acchi lagi hai to ese share jarur kare or aisi hi technology ki jankari hinid me janane ke liye daily Visit Kare digital Hindi Club. Thanks For Reading

 
 

More From Author

Leave a Reply