Dosto Aaj hum Apko Batane ja rhe hai ki Youtube Se paise kaise kamaye hindi me. or youtube par video kaise upload karte hai. Agar Aap bhi Youtube se Paisa Kamana Chahate hai or Youtube Par kaam karke paise kamana chahate hai to aap ek dam sahi jagah aayege aaj hum aapko youtube ki puri jankaari dege. video uploading se lekar Youtube Polices Rules and Term and Conditions.
Youtube ek aisa platform hai jaha par aap video upload karke paisa kama sakte hai. jiske liye apko youtube channel banana hoga fir uspe video upload karke adsense se connect padega. to ye saari jankaari hum aapko batayege A to Z Guid youtube Online Earning,

youtube se paise kaise kamaye, hindi me jane
Youtube Se Paise Kaise Kamaye – यूट्यूब से पैसे कैसे कमाए
Online Paise kamane ke liye humare pass bahut sare option hai jinke jariye hum paise kama sakte hai. jaise facebook se Affiliate marketing se website blog bna or or bhi bahut sare tarike hai online paise kamane ke liye. but Aaj hum Baat karne wale hai youtube ke bare or यूट्यूब से पैसे कैसे कमाए .  Uske Bare Me. Youtube Par Aapko Video upload Karni hogi jisase Aap Monthly Hajaro- Lakho Rupaye Kama sakte hai. Bas aapko Mehnat karni padegi, or accha work karna padega. so saari jankaari ke liye humare Post ko pura pade or diye gye Steps ko Follow kre.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye – Youtube Par Video Upload Kaise Kare Tarika.

Youtube Par Video Upload Kaise Karte Hai or Uske Baad Us Video Se Earning Kaise Hoti Hai Wo Sab Hum Aapko Batayege.  To humare drawa batayege gye sabhi steps ko follow kre jisase aap Youtbe se paise kamana sikhege..
      • Sabse Pahle AAp 1 Google Account Banaye or fir Usase Youtube Par Login kare.
      • Youtube par Login karne ke Baad Apna channal Create Kare.
      • Channel Create Karne ke Baad 3_4 video upload Kare Khud Ki banayi huyi.
      • Uske 1 din baad Apne Channel ki Monetize Enable kare.
      • or fir apne channel ko google adsens se connect karde.
      • Fir Jaise Jaise Apne View INcrease Hoge Waise Waise Apki Earning Start ho jayegi.
      Sabse PAhle Aap upar diye gye Steps ko Follow Kijiye jisase Aap Youtube Channel kaise  banate hai sikh jaoge. Google Account banana bahut hi aasan hai jaise hum gmail account banate hAI USI KO google account kahte hai. esliye agar apke pas already gmail account hai to aap us account se youtube me login kare. or fir uske baad apna ek accha sa channel banaye channel art profile wagerah lagaye usake baad apne channel ki baki jankari usme dale. jab channel ka degine complete ho jaye tab aap apne chANNel par 2 -3 khud ki banayi huyi video ko upload kare. jab aap apni video upload kar dege fir usme apko monotize enable karni hai or fir usko adsens account se connect karna hai, jisase apke youtube ki earning Adsens ke Account me save hoti jayegi.

      YouTube Channel Ke Liye Video  Kaise Banaye – Video Banane Ke liye Kya Kya Chahiye.

      Agar Aap Youtube Channel Start karne ja rhe hai to ek Baat humesa Yaad rakhe ki Aap tabhi success ho sakte hai jab aap khud ki banayi huyi video upload karege. kyuki aap kisi or ki banayi huyi video ko dobara se upload karne to aap kabhi success nhi ho jayege or ulta Youtube apka channel band kar dega so. Sirf Khud Ki banayi video par kaam kare success hone ke liye.
      1. Good Quality Camera – Youtube Ke liye Video Record karne ke liye apke Pass ek acchi quality ka camera hona jruri hai jisase aap video acchi dikhe.
      2. Computer – Sabse Jaruri Chij hai Computer Kyuki Computer se aap Apne Channel ko aasani se handal kar sakte hai.. or apne dwara banayi gyi video ko acchi tarah Edit bhi kar sakte hai.
      3. Video Editing – Video Editing bhi ek bahut hi ek jaruri hai apke video ke liye jab aap video banaoge to usme kuch aise part bhi record ho jayege jinko aap delet krna chahoge ya cut krna chaoge to editing bhi bahut jruri hai.
      4.  SKILL – Ab Baat aati hai skill ki aapke andar aisi konsi skill hai jisase upar ya jisko use karke aap video banana chahoge. jaise ki Technology, Prank, song, Safe. or bhi bahut sare Ideas hai.
      To Dosto Ek Channel start krne se pahle apke pass ye sab chije hona jaruri hai tabhi aap ek accha or proffesional youtube  channel bna ke rupaye kama sakte hai. Esliye Sabse Pahle Aap khud me Jhank ke dekhe ki apke bheetar kya telent hai jiske upar aap video bna sake or usko youtube par daal ske. kyuki agar apke andar hunar hoga to aap bahut jaldi hi success ho jayege. kyuki log apko pehchanege. so khudki banayi huyi video ko upload kare.

      Youtube Par Kis Type Ki Video Upload Kare –

      Youtube Channel Start Karne se pahle humare dimaag ye khayal jarur aata aata hai ki hum youtube par kis type ki video upload kare jisase hume accha responce mile or incom bhi jyada ho.
      to dosto aap youtube par khud ki banayi video upload kare.
       Khud ki Banayi gyi video se apke Channel ko kabhi koi nuksaan nhi hoga, agar aap kisi or ke channel ki video ko apne channel par upload karege to ek na ek din apke channel pr copyright strick aa jayegi or youtubr apke channel ko delete kar dega, to esliye khud ki banayi video upload kare.
      Aap Youtube par ulti sidhi type ki video upload nhi kr sakte hai. jo ki under age hoti hai.
      Youtube Se Earning Kaise Hoti Hai – Youtube paise kaise deta hai- 
       
      Youtube se paise kaise kamate hai. youtube par video upload karne par paisa kaha par aata hai apke man me bhi ye khayal jarur aaya hoga to hum apko batate hai ki youtube payment kaise karta hai.
      jab hum channel bna ke video upload karte hai to us time hum apne channel ko google Adsens se connect karte hai ko ki khud google ki service hai. channel ko google Adsens se conncet karne ke baad. humare jitne jayda view aate hai humari incom utni hi jyada badti hai.
      or wo sara paisa google adsens me jama hota jata hai or jab humare google adsens ke account me 100$ ho jate hai to uske baad Har Month ki 21 date ko wo paisa humare bank account me aa jata hai.
      To friends ye thi humari post youtube se paise kaise kamaye agar aapko humari ye post pasand aayi ho to ese jarur share kare. or aisi hi technology ki jankaari ke dail visit kare. or mujse aasha hai ki ab aap jaan chuke hoge ki Youtube se Paise  kaise kamaye jate hai. youtube par video kaise upload ki jati hai sab kuch.

By Ankur

Leave a Reply