Hello Friends Aaj mein aapko batauga Ki Memory Card or Computer ki hard disk se delete data recover kaise karte hai. waise to humare laptop computer me bahut saara important data hota hai. jiska hume pta bhi nhi hota ki kon konse fodar me kya hai, or galti se humse wo folder delet ho jate hai fir hum sochte hai ki ye to galat ho gya hume aisa nhi karna chahiye tha usme to bahut imporatant data tha. Lekin ab aap apne delete data ko recover kar sakte hai mein meri es post me aapko batauga ki memory card or hard disk se delet data kaise recover karte hai. Bas aap meri ye post acche se padni hai or saare steps acche se follow karne hai.

memory card and hard drive se delet file kaise recover kre
RECOVER DELET DATA

Kabhi kabhi kya hota hai ki hume bahut jaldi hoti hai kisi chiz ko download krne ki or space kam hone ki wajah se hum bina kuch soche kuch bhi delet kar dete hai or jab hume us old data ki jarurat padti hai to sochte hai ki humne ye kyu kiya hume vo file delet nhi karni chahiye thi. uski abhi bumko jarurat hai. fir aap sochege ki kaash aapne uska backup liya hota, wagerah wagerah,, but aapko chinta karne ki koi jarurat nhi hai, ab aap es software ki help se, apne delet data ko recover kar payege.,

Waise to internet ki duniya me bahut sare data recover software hai jisase aap apne data ko recover kar sakte hai.  but mene abhi tk jitne bhi software use kiye hai unme se muje ye RECUVA name ka software sasbse jyada usefull lga. es software me aapko categery di jati hai ki aap apne memory card or hard drive me se konsi file recover karna chahate ho, jaise EX. Image, Video, Document Etc,

Memory Card or Hard Disk Se Deleted Data Recover kaise kare- 

1. Sabse Pahle Apko RECUVA DATA RECOVERY Software Download Karna hai. jo aapko google par mil jayega

2. Software Install Hone ke Recuva software ko Open kare. Ab aapke samne recuva ka startup box ayega usme Yes par click krne le baad next  karde.

3. Ab aapke samne new box open hoga usme aapko select krna hai ki aap kis type ka data recover karna chahte hai, jaise. Image, Video, Domuments, Email, Etc. 

DELET DATA KAISE RECOVER KARE



4. Ab Apko Apni drive, Folder Select karna hai jisme se aapka data delet hua hai, or fir next par click kre.

(Aap apne memory ko bhi select kar sakte hai uske liye aapko apna memory card SD CARD me lagakar computer se connect karna hai,)

DIGITAL HINDI CLUB

5. Ab aapki Screen par Recuva Software ki prosessing suru ho jayegi or aapki delet file recover hone lagegi, jab process complete ho jaye tabhi, aapke samne aapki delet file show hogi fir aapko jo file recover krni hai usko select kre or fir store karle.

Data Recover ke liye Recuva Software hi  kyu:- 

Friends Aap sab ye jarur soch rhe hoge ki data recover karne ke liye recuva software hi kyu or koi kyu nhi, ME aapki es shanka ko bhi dur karuga,  or batauga ki Recuva software hi kyu chuna maine.
Friends me aapko bata du ki recuva software ek free of cost software hai, or waise aap eska pro version bhi download kr sakte hai uske liye aapko kuch $$ dene hoge.

But Mene jo DOWNLOADING LINK  Diya hai yha se aap es REcuva Software ko FREE me download kar sakte hai or apne data ko aasani se recover kar sakte hai, Recuva Software ki sabse acchi baat ye ki ye bahut ki kam MB ka software hai ese aap aasani se download kr sakte hai recuva ka size 5Mb  ka hai bas,

to dosto ye thi jankari  Memory Card Or Hard Disk Se Delete Data Kaise Recover Kare agar apko humari ye post pasand aayi ho to ese share kre
NOTE- Friends agar aapko meri ye data recover wali post acchi lagi ho to please ese apne dosto ke sath jarur kare, or aisi hi Letets trick pane ke liye daiy visit kare DIGITAL HINDI CLUB, or Hindi ko support kare. 

THANK YOU………. 


By Ankur

Leave a Reply