Paypal Account kya hai or Paypal account ka instmaal kis liye kiya jaata hai. Waise to aap sabhi ne Paypal ke baare me kahi na kahi to suna hi hoga or Agar aap ek internet user ho to fir to aapko ye janana or bhi jaruri hai ki Paypal account hota kya hai. PAYPAL ACCOUNT KAISE BANATE HAI JANIYE HINDI ME.
Mitro  Paypal ek aisi online website/Bank he jisase aap kisi or country ke logo ke sath rupayo/paiso ko len den kar kaste hain. jaise ki aapka koi friend kisi or country me Rahta hai or usko Rs, ki jarurat hai. To aap paypal account se unke paypal account me Rs. Transfer kar sakte h jisase unko rs. turant mil jayege.Paypal Account ka Istemaal  jyada tar log online saaman kharidne ke liye bhi karte hai. jaise ki kisi other counrty ki website se Ebooks, software, Application and onter  transaction ke liye bhi use kiya jata hai.

Paypal Account kya hai – 

Paypal ek online Money Transaction International Website hai jo ki 1992 se chal rhi hai or abhi bhi accha responce de rhi hai, paypal American company hai or international money Transfer krne ke liye eska estemaal kiya jata hai. or Paypal Ek Trusted Company hai.

 

Paypal Account Banane ke liye Jaruri Documents –

1.  Sabse Pahli baat to ye ki Apki Age 18 ya 18+ honi chahiye.
2. Pan card
3. Bank account
4. International Debit/Credit Card (like= visa)
Paypal Account banane ke liye ye 4 document bahut jaruri hai, agar aapke pass ye chiz nhi hai to aap paypal account nhi bna sakte. or sabse badi baat to ye ki aapki age 18 ya 18+ honi hi chaiye.
Agar aapke pass ye 4 documents hai to aap turant apna account bna sakte hai,

Paypal Account kaise Banaye –

Paypal Account banane ke liye sabse pahle Aap apne computer ya Mobile ke Kisi bhi browser me
www.paypal.com  open kare fir.uske baad Sign up now par click kare.
Fir aapke samne kuch es Tarah ka page khul kar jayega.

Paypal Account verify
 

Ab aapko Account type Select karna hai, to aap yha par individual account select karle, Agar aap business perpose ke liye account bna rhe he to aap business account select kar sakte hai. Account type select karne ke baad continue par click kre.

Ab Apke samne ek or page khulega.

creat paypal account
1. Sabse pahle aap COUNTRY select kare.
2. Apni Email Id Enter kare.
3. Ab aap Password Dale Password Storng rakhe. humber symbal jodkar.
4. Apne jo password dala tha usi ko fir se etner kar de.
Ab aap continue par click kar dijiye.
continue par click karne ke baad aapki screen par ek or page open hoga kuch es tarah ka. jisme aapko apni puri detail bharni h bilkul sahi sahi.
paypal verification
1. Apna first name daale.
2. Apna Middle name daale.
3. Apna last name daale.
4. Apni date of birth enter kare.
5. Nationality Me apni Country select kare, ( Aap indian ho esliye india select kare).
6. Apna Orginal  Address dale jaha par aap rahte hai.
7. Agar aapka address bada h to aap 7 no. wali line me fill ke sakte h baki ka.
8. Town/city me apni city ka name etner kr de.
9. State me apna rajya etner kare.
10. Yha par aap apni city ka Pin code dale.
11. Apna mobile number daale.
12. Yha par tick kr de right ka sign aa jayega,
13.Agree and cretae Account wale option par click kar dijiye.
Done! AB Apka paypal par account ban chuka hai. Ab bas aapko paypal ki kuch condition follow karni hogi, jaise ki aapko apna Email confirm karna hoga or Mobile number bhi.
and Apni Bank ki Detail bhi Add karni padegi.
NOTE:- Paypal Account banate waqt aap sabhi option ko aaram se padke fill kare or humesa Paypal ki official Website par hi account banaye kyuki internet ki duniya me bahut saari fake website bhi hai jo aapki bank account or persnal jankari chura sakte hai or uska Galat Esatemal kar sakte hai. To sab check krke hi account banaye.
DEAR FRIENDS AGAR AAPKO MERI YE POST “PAYPAL ACCOUNT KAISE BANAYE OR VERIFY KARE” ACHHI LAGI TO PLEASE AAP ESKO APNE DOSTO KE SATH SHATE JARUR KRE. DHANYAWAD

By Ankur

2 thoughts on “Paypal Account kya hai OR Paypal Account Ko India Me Kaise Verify Kare.”

Leave a Reply