रामनाथ कोविद बने भारत के 14वे राष्ट्पति

Adhar Card Ko Bank Account Se Kaise jode link kare – How To Link Adhar Card With Bank Account. Dosto ye Hai Aaj Ka Topic Agar Apka Kisi  Bank me Account hai  to fir apke pass bhi goverment ki taraf se SMS Aaya hoga. or usme likha hoga ki Apna Adhar Card bank  se  Link Karaye. goverment ke Es abhiyan se sabhi ko apne Apna adhar bank se jodna hoga jisase we bhavishya me aane wali suvidhao ka sidha laabh utha sakege. Goverment ne APES (aadhaar enabled payment system) Launch kiya hai jisase Aap fingerprint ke jariye ATm machine or Bank me hone wali machine se paise nikaal sakege bina kisi extra verification ke. jo ki bahut acchi technique hai. yhi wajah se jisase sabhi ke pass aadhar ko bank se jodne ke SMS aa rhe hai.

Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare.
Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare.
Agar Aap apna Aadhar card bank account se link nhi karayege to sayad aapka bank khata band ho sakta hai. lekin me apko kuch aise method bta rha hu jisase aap ghar se apna adhar card ko bank se link kar sakte hai. ye bahut hi aasan method hai bas aapko step by step follow karne hai. aaiye jante hai ki Aadhar Card Ko Bank se Kaise Jode.

आधार कार्ड को बैंक  खाते  से कैसे जोड़े – (How To Link Aadhar Card With Bank Account) –

Hum Kuch Aise Method Tareeke batane wale hai jisase aap ghar se hi apne aadhar card ko bank se link karwa sakte hai SMS ke jariye jo ki bahut hi aasan tareeka hai. bas uske liye Apke Mobile number Bank Khate se juda hona chahiye. ye bahut jaruri hai. agar aapke abhi tak apne bank khate me mobile number nhi joda hai to sabse pahle mobile number jode.
Method – 1 

SMS Ke jariye Aadhar Card ko Bank Se Jode –

1. Sabse Apne Bank Register Mobile Number Wale Phone Me SMS Box Open Kare.
2. Ab Apko SMs Type karna Hai jaise ki –
                     UID <Space>Adhar Card number<Space>Bank Account Number
 

3. Sms Type karne ke Baad Ese 567676 Par Send Karde.

Link aadhar card with bank account by sms
4.  Ab aapko kuch time baad Adhar card ko bank khate se link hone ka sms aa jayega. Lekin Yaad Rhe Ye Method Tabhi work karega Jab Apka Mobile Number Alredy bank khate se juda hua hoga.
Agar es Method Se Apka Kaam nhi hota hai to aap second Method Try kare.

ATM Ke Jariye Bank Me Aadhar Card Kaise Jode/Link kare –

Agar Aapka Bank Aacount SBI(State Bank of India) me hai. To Kisi Najdigi SBI ATM me Jakar ATm ke jariye aadhar card bank se link kar sakte hai, ye bahut hi aasan hai. bas bataye gye steps ko follow kijiye.

 

  1. Sabse Pahle Kisi  SBI ATM par Jakar APna ATM Machine me Lagaye Or PIN daale.
  2. Ab Apke Samne ATM Screen Par Menu Show Hogi To Us MEnu Me “Service – Registration” par Click Kare.
  3. Click Karne KE Baad Aadhar Registration Par Click kare.
  4. Aab Aap Account Type Saving/Checking Select kare..
  5. Eske Baad Apna Aadhar car number Enter Kare.
  6. Ab Aapko Firse Aadhar no. Re-enter karne ko kaha jayega to firse aadhar number daale.
  7. Pura Process ho jane ke baad apka adhar card number bank account se jod diya jayega.
To Friends Es prakar se aap Apne Najdiki SBI ATM se Aadhar card ko Bank Account Se link kar sakte hai.

INternet Banking Se Aadhar card ko Bank Se Kaise Jodte Hai-

Agar aap internet banking ka estemaal karte hai to Aap es method ke jariye bhi adhar bank se link kar sakte hai. par yaad rhe hai ki ye method Sbi bank account wale hi use kar sakte hai.
  • Sabse Pahle SBI(State Bank Of India) ki Website par apna Internet Banking ka Account Login kare.
  • Account login karne ke baad My Aacount par click kare.
  • Ab  Aap Link Your Aadhar Number par click kare. or fir apna Bank Account Number select kare.
  • Fir Apna Aadhar number enter karke save karde.
  • Done Ab Apka Aadhar number Bank se Link Ho chuka hai.
Friends Ye the 3 Method Jinke jariye Aap “Adhar Card Ko Bank Account Se LInk’ kar sakte hai Jod sakte hai. Sabhi Method Bahut Aasan Se Bas Aapko step By Step Follow Karne hai. Agar humari ye post helpfull lgi ho to ese share jarur kare. agar aapka posr se releted koi qus, hai to jarur comment kare.

By Ankur

Leave a Reply