रामनाथ कोविद बने भारत के 14वे राष्ट्पति

Hello friends.. Aaj hum Apko Android phone Ki Jankari  Batane Wali hai. Jiske Jariye Aap kisi bhi Android phone ke Processor, CPU, RAM, Battery Ki Jankari Check kar sakte hai. Or Pta Kar sakte hai ki us mobile phone me konsa processor lagaya gya hai, Cpu kitne core ka Hai, Sensor and  Battery ki jankari. Agar aap market me new android phone lene jate hai or apko phone ke bare me bilkul bhi jankari nhi hai to aap humari ye Post Read kare. yha paar jaan sakege ki new phone lene se pahle kya kya check kare. Ya Fir Aap Kisi se Old Mobile Buy Kar rhe hai or us Mobile Ki Puri Jankari Check karna Chahte hai to Aap Ekdam sahi jagah aaye hai. Android phone me alag alag type ke processor lagaye jate hai jis par phone work krta hai.

Phone Ka processor phone ke baki ki Hardware or Software ke hisaab se lagaya jata hai. Jaise ki RAM Agar kisi mobile me 1GB Ram hai to usme 1GB Ram ke hisaab se processor laga hoga. Agar 2GB RAM hai to usme high processing wala processor laga hoga.

Android Phone Me Processor, CPU, RAM, Sensor Kaise check kare
Android Phone Me Processor, CPU, RAM, Sensor Kaise check kare
Android phone Aaj Ke TIme sabhi ke pass hai or sabhi eska estemaal kar rhe hai. INdia Me Smartphone bahut teji se fail rhe hai jisase har koi internet ki duniya se jud sakta hai. Smartphone Hone se Aapka Kaam or bhi aasan ho jata hai jaise ki agar Map Se aap rasta dekh sakte hai. money App se Paise Send kar sakte hai aise hi bahut saare use hai smartphone ke. Smartphone ki alag alag prize hoti hai unke feature ke hisaab se usi prakar agar aap apne Phone ke feature ki jankari check karna chahte hai to aap yha pad sakte hai.

Android Phone Me Processor, RAM, CPU, Sensor Kaise Check kare –

Kisi bhi Android Phone ke Processor,Ram,battery,sensor ke bare me janane ke liye apko CPU-Z Name ka App Install karna hai apne mobie me uske baad. Aap phone ki puri jankari check kar sakte hai. Uske liye bas ye kuch STEPS Follow karne hai.

 

Step:1 Sabse Pahle Google Play store se CPUZ App Install kare.
Step:2 App Install ho jane ke Baad App Open kare.

Step:3 Ab Apke samne Soc, Device, System, Battery, Sensor Etc.

SOC – Soc Option par click karke aap Android phone ke Processor ka naam pta kar sakte hai. Check kar sakte hai ki Phone me kitne core ka CPU hai. GPU ki jankari dekh sakte hai. Matlab kI SOC option se phone ke processing system ki jankari Dekh sakte hai.

Check-android-phone-processor-detail

DEVICE – Device Option se aap Phone ka Model, Brand, Display Size, Screen Resolution check kar sakte hai. Or sath hi sath phone me kitni RAM hai or Kitna Internal Storage hai wo bhi jaan sakte hai.

Check-android-device-detail-Ram-storage-modeal-brand

how to check android phone System Info, Battery Detail –

SYSTEM – system option me se aap phone ka Android version check kar sakte hai. Jaise ki Lollipop, KitKat konsa version hai. Chexk kar sakte hai mobile ROOTED hai ya nhi or bhi bahut jankari check kar sakte hai.

BATTERY – Battery wale option se aap phone ki Battery ki jankari dekh sakte hai. Phone me kitne mah ki battery hai. Battery ki Health kaisi hai, Temperature kitna hai battery ka or sab kuch.

Check android phone bettary detail

SENSOR – Sensor wale option se aap phone ke sensor check kar sakte hai. Jaise ki Mobile kon kon se sensor  hai. or we kaise work kar rha hai. Ye sab jankari dekh sakte hai apne phone me.

Android Mobile Sensor Detail

Ye BHi Jane:-
1.Android Phone Fast Charge Kaise KAre.
2.Android Phone ke All sensor Ki Jankari
3. Internet Se Free Call Kaise Kare.

Friends CPU-Z bahut Accha App Hai. Aap CPU-z App Google Play Store Se Free me download kar sakte hai. esase aap kisi bhi Android Phone ke Processor, CPU, RAM, Battery, or sensor ki Puri Jankari dekh sakte hai. or esase aapko phone ki ekdam sahi jankari milegi. muje aasha hai ki apko ye post jarur helpfull lgi hogi. humari es post ko share jarur kare.

By Ankur

Leave a Reply