Dosto Aaj hum baat karege Android Mobile ke system apps ke bare me ki kaise hum system apps ko uninstall kar sakrte hai. Android Mobile me kuch apps aisi hoti hai jinka hum use bhi nhi karte or wo faltu me humare mobile ke storage ko bhar deti hai jiske karan hum or kisi apps ko install nhi kar sakte kam storage ke karan. Android Mobile Ke System Apps adhik hone ke karan mobile me Memory Space kam rah jata hai jisase hume or apps install karne me Insufficient Mobile Storage ki Error aane lagti hai. waise aapne bhi bahut baar system apps ko uninstall krne ki kosis ki hogi but fir bhi aap asfal rhe hoge, esliye me aaj aapko batane ja rha hu ki android mobile ke system apps ko kaise remove or uninstall karte hai Root ke or Without Root ke.

android app uninstall kaise kare without root
Android Mobile System Apps Kaise Uninstall Kare –

Android Mobile Me system Apps adhik hone ki wajah se Mobile me storage to kam hota hi hai uske sath sath System Apps mobile ki Ram ka bhi bahut usase hota hai jisase humara mobile hang bhi hone lagta hai, esliye Mobile me faltu ke apps ko unintall karna hi sabse badi samjdaari hai. Aaj ke time laucch hone mobile me app install krne ke liye memory bhi jyada aa rhi hai pr kuch aisi bhi mobile hai jimne memory to kam aati hai or sath me faltu ke apps bhi install hoke aate hai jinka koi use nhi hota hai or wo unistall bhi nhi hote hai, agar aap bhi aise apps se pareshan hai to humari post ko pura pade hum esme aapko  Android System Apps Uninstaal or Remove Krne Ke  2 Method batayege bahut hi saral.

Android Mobile Ke System Apps Kaise Unintall Or Remove Kare Root OR Without Root. – Hindi-Me-Jane

Android Mobile Ke System Apps Unintaal Or Remove Krne Ke Hum aapko 2 Method Bateyge jinki madad se app system apps ko unistall or remove kar sakege. Pahla Method Root Mobile Ke Liye Or Dusra Method Without Root Mobile Ke liye Hai.
METHOD- 1.

Android System Apps Kaise Unintaal/Remove Kare “ROOTED” Mobile Ke Liye. – 

Dosto Ye 1 Method Hai jo Ki Rooted Mobile Me kaam Krta Hai. Without Root Wale log Mwthod 2 pade. Agar aapka Mobile alredy Rooted hai to aap niche diye gye Steps Ko Follow Kare. 
1. Sabse Pahle Android MoBile Me “Lucky Patcher” App ko Download Krke Install kar le.
                         

2. Lucky patcher app INSTALL krne ke baad apps open kre or rooted root permission allow kare.

3. Root Permission dene ke baad aapke samne apke Mobile ke apps Show Hone Lagege.

4. Ab aap jis apps ko uninstall karna chahte hai. uske samne Fool type ke jo icon he uspe click kre fir aapke samne bahut sare option aayege unme se uninstall par click kre or ok karde fir wo apps humesa ke liye uninstall ho jayega apke mobile me se.

5. Done!!!!!!!

Note:- “Apps Ko Uninstall Karte Waqt Apke Mobile Ka Version brick bhi ho sakta hai jisase aapka mobile band ho sakta hai esliye wahi app uninstall kre jo mobile se releted na ho”


METHOD- 2.

System Apps Kaise Unintall or Remove Kare Without Root:- 

Agar Aap Without Root Ke system Apps Uninstall krna chahte hai to apke pass computer ya laptop hona jaruri hai kyuki. ye method computer software ke dwara kaam krta ha. step by step janane ke liye niche ke step pade or follow kare.
Without Root System App UninStall Karke Ke liye kya Kya Chahiye –

1. Sabse pahle apko Chahiye “Debloater Software”.
                      

2. Apke Mobile Ka Android Version 4.4+ se upar hona chachiye.
3. USe Debugging Option Enable hona Chahiye Apke Mobile Me.
4.  Apke Computer Me USE DRIVER Install Hone Chahiye.

“HOW TO UNINSTALL SYSTEM APP WITHOUT ROOT” – 

1.) Sabse Pahle Aap apne Computer or Laptop me “Debloater Software” Download karke install krle.
2.) Ab Apne Mobile Ko COmputer Se connect kare Data Cable Ke dwara Fir Apne Android Mobile Me  “USB debugging option” Enable karde.

( USe Debugging Enalbe karne ke liye. Mobile Settings Me Jaye Fir Apko Last Me Develpoer Ka Option MIlega Uspe Click kre or fir on krde fir aapko niche usb debugging ka option dikh jayega. 

3.) Mobile Computer Se Connect ho jane ke baad “Debloater Software” Me “Read Device Package” Par click kare or thodi der wait kre ab apke samne Debloater Software me Mobile Ke Saare Apps Ke Name Show Hone Lagege.

4.) Ab AAp jis App ko Uninstall krnaa chahte hai usme Click kre or Fir upar Apply wale option par click krde.

5.) DONE!!!!!!!!! System App Successfully UninStall Ho chuka Hai esi tarah aap kisi bhi APP ko uninstall kar sakte hai.

NOTE:-  Mobile ke Software Se Releted Apps Uninstall na kare warna aapka mobile brik yaani band ho sakta hai. esliye wahi apps uninstall kre jiske baare me aap jante hai ki ye mobile ke software se releted nhi hai. Jaise Ki– Games, Facebook, whatsapp, Etc

Friends Humari Post padkar Aap jarur sikh gye hoge ki system apps ko kaise uninstall/Remove karte hai. or agar esliye aapko koi problm aati hai aap hume comment karke puch sakte hai. or muje aasha hai ki aapko humari post “Android Mobile Ke System App kaise Uninstall kare Root OR Without Root” Jrur Acchi Lgi hogi or Helpfull Bhi, esliye aisi hi Internet Ki Jankaari hindi me pane ke liye humari website daily visit kare.

Thanks For Reading…..

By Ankur

Leave a Reply