Hello friends aaj me apko kuch aise behatreen Top app ke baare me batane ja rha hu jisase aapke mobile ke charge hone ki speed ko aap 3X Guna tak bada sakte hai. Android Mobile ko fast charge karne ke tarike aap janege. Agar aap apne mobile ke slow charge hone se tang aa chuke hai to aapke liye ye post pdna bahut jaruri hai jisase aap Apne Mobile Ki Charging Speed ko increase kar sakte hai. aap in apps ko use karke apne mobile ki charging speed ko increse kar sakte hai. or sabse acchi baar ye hai ki ye apps Google play store se Free me download kar sakte hai or in apps ko aap Without Root wale mobile aasani se chala sakte hai.

android mobile ko fast charge kaise kare
Android Mobile Ko Fast Charge Kaise kAre, Fast Charging App.

fast charging koi jaadu ya magic nhi hai ye ek tips ya method hai jisase mobile fast charge hota hai. jab aap apne mobile ko charge karte hai use time ye app apke mobile ke backgroud me chalne wale app ko stop kar dete hai jisase apke mobile ki charging speed bad jati hai. in apps ko aap apne mobile me aasani se install kar sakte hai or jab aap mobile ko  charge karege usi time ye apps work karne lagege or aapke mobile ke backgroud me run ho rhe apps ko kill Stop kar dege. kuch apps apko suggestion bhi dege wifi, gps, syn band krne ka. in aaps ko aap donwload kijiye or apne mobile ki charging speed ko increase kijiye.

Top Fast Charing Apps For Android Mobile-

Apko me kuch Fasting charging ke liye behtreen apps ke baare me bta rha hu jo ki bahut hi popular hai. aaiye jante hai in apps ke baare mein.

 1. Fast Charging Pro – (Best One)

Ye Ek Bahut hi behatreen Apps hai jiska use aap mobile ko fast charge karne me kar sakte hai. Aap ese Top One app bhi bol sakte  hai. ye app apke Mobile Ke Backgroud me Run hone wale app ko stop kill kar dega jisase aapka mobile fast charge hone lagega. aap es apps ko install karne ke baad jab aap mobile ko charger se connect karege us samaye apke mobile me big START name ka option dkhega uspe click kare or fir kuch der wait kare uske baad aapke mobile ke third party apps jo ki backgroud me run ho rhe the jo ki Ram or CPU dono ke memory ko kha rhe the wo stop ho jayege jisase charging speed improve ho jayegi.

   2. Super Fast Charger –

Super Fast Charger App Bhi ek bahut Accha app hai jo ki play store par bahut hai famous hai. ye app apke mobile ki charing speed ko 5x speed tak increase kar sakta hai. super fast charger or apps ke jaisa hi hai or ye aapke mobile ko super fast speed ke sath charge kar sakta hai. super Fast Charger Apps apke mobile ki or bhi jankaari show karata hai jaise ki Temperature, Voltage, Charge% or bhi jankaari dikhata hai. aap super fats charger app ko download karke try kar sakte hai or ye apko bahut accha responce dega.. jisase aap apne mobile ki charging speed dugna ka dega.

                                                    

  3. Fast Charging – 

YE bhi Ek Bahut Hi badiya hai jo ki top 3 apps ki list me hai. fast charing apke mobile ko fast charge karega or apke mobile ki charging speed ko increase kar dega. jab aap charger connect krege mobile se us time apke mobile me ek option dikhega START ka uspe aap click kijiye uske baad App apna kaam karna start kar dega. Fast Charging apko suggestion bhi deta hai wifi off karne ka brightness reuce karne ke liye gps off karne ke liye jinko follow karke aap apne mobile ki charging speed or battery life dono increase kar sakte hai. fast charging app se mobile charge hone ki speed ko 20% se 30% tak increase kiya ja sakte hai. or ye dikhne me bahut cool lagta hai agar aap ese use karna chahte hai to aap download link se app ko download kar sakte hai.
                                                          

LAst Word – Dosto ye thi android mobile ko fast charge karne ke apps ki jankaari. Agar aap in appps ka use karte hai to aapko mobile charge karne me bahut hi aasani hogi or apka mobile jaldi hi charge ho jayega. ye 3 app top apps bahut hi popular app hai jo ki playstore par sabse jyayda Rating me hai.

Dosto apko meri ye post jarur pasand aayegi esase aap jarur jaan gye hoge ki android mobile ko fast charge kaise karte hai or fast charging ke apps kon konse hai, agar apko article pasand aaya hai to ese share jarur kre.

By Ankur

One thought on “Android Mobile Ko Fast Charge kaise kare – Top 3 Fast Charging App.”

Leave a Reply