Hello Friends Aaj Hum Kuch INtresting Sikhege Ki Android Phone Ke Font kaise change karte hai. Custom font kaise install karte hai.  Android Mobile Aaj ke samay sabhi ke liye jaruri ho gya hai insaan apni life ke kuch gante without mobile phone ke nhi gujar sakta. Android Mobile me Hum Internet chala sakte hai, Games Khel sakte Hai, messasing kar sakte hai. image capture kar sakte hai. sound record kar sakte hai aisi hi bahut saari chije kar sakte hai. jo huamri life me jaruri hai work ke liye ya khud ke entertainment ke liye.

Android Mobile Ke Font Change Kaise Kare Use custom font.
Android Mobile Ke Font Change Kaise Kare Use custom font.

Android Device bahur hi smooth faster and good looking hai jo ki sabhi ko pasand  aati hai. par mobile phones me kuch aise bhi features hote hai ko ki kabhi kabhi hume pasand nhi aate hai. esliye hum aaj baat krne wale hai Font Ke bare Me. Android Mobile ke Font kaise Change kare. android mobile me custom font kaise install karte hai. bahut sare log aisi hai jinko apne mobile ke fonts ki style pasand nhi aati or wo apne mobile ke font chang karna chahte hai.

Android Mobile ke font change karne karne ke liye apko apne mobile ko Root karne ki koi jarurat nhi hai kyuki hum apko batayege ki Without Rooot Android Mobile KE FOnt kaise Change karte hai. Agar apka mobile Rooted hai to fir aap aasani se apne phone ke fonts ko change kar sakte hai.
eske liye bas aapko humare steps ko follow karna hai. jisase aap asani se font change karna sikh jaoge.

Android Mobile Ke Phone Kaise Change kare- 

To hum Apko 1 Method batane wale hai jo ki noon rooted yani ki without Root wale mobiles me aasani se use kar sakte hai. or Apne Android Mobile Ke Font Charge kar sakte hai.
METHOD- 1     GO Launcher EX

Go launcher EX ek bahut hi popular app hai ye ek aisa launcher hai jisake install karne ke baad mobile ke Colours Stype sab kuch change ho jata hai or mobile ekdam proffesniol ho jate hai. Go launcher EX Se Hum Colours, style ke sath sath mobile ke fonts ko bhi asani se change kar sakte. Go Launcher Ex App Me Bahut Saare Advance Feature hai jisase hum Kisi bhi App pr lock lga sakte hai Styling wallpaper set kar sakte hai. 

Go Launcher App Se Mobile Font Kaise Change Kare- 

1. Sabse Pahle Google Play Store Par Jaye or Wha se Go Launcher EX Application Ko INstall kare.
2. Go Launcher App Install karne ke baad Apko GO Launcher Fonts Ko INstall Karna Hai. INstall karne ke liye niche click kare.
3. Sab Kuch Download ho Jane Ke Baad Go Launcher App ko Open Kare. or Upar Menu wale option par click kare
4. AB Menu Me Jo option Hai unme se “Preference” Ko select Kare. fri apko niche font ka option dikhega fir uspe click kare.
5. Font par click karne ke baad apke Samne Bahut Sare Font Style Ki List Hogi unme se koi bhi style select kare.
6. Done…….. Ab apke Mobile Ke fonts ki Style charge ho chuki hai.
Agar aap Khud ki pasand ke font ko Go Launcher Me Dalna chahte hai to uske liye apni font ki file ko SdCard>Go Launcher Ex>Font me Paste karde.

Method 2: – Rooted Phone Me Custom Font Kaise Install kare- 

 Agar Apke Pass Rooted Mobile to aap bhi asani hai apne mobile ke FOnts change kar sakte hai uske liye diye gye sabji stepps ko acche se follow kare.
1. Sabse PAhle Google Play Store Se Font Installer app Install kare.
2. App INstall Ho jane Ke Bad Aap ko Open kare or Upar Server Wale Option par click kare.
3. Server Wale Option par click karne ke baad TTf Font Ki File Dikhgi jisme se aap ksi bhi font par click kare or fir apko usme install ka option dikhega to install par click karde, jisase wo wali ki font style download ho jayegi.
4. font install hone ke baad apko mobile screen par ek pop message dikhega reboot ka uspe click kre jisase mobile restart hone lagega.
5. Done…. Mobile Reboot Hone Ke Bad ap dekh sakte Hai apke Mobile Ke Font Change ho chuke Hai.

to Dosto ye thi jankari Android Phone ke font change kaise karte hai uske bare mein. agar aap custom font use karna chahte hai to aap humare bataye gye steps ko follow karke apne mobile phone ke font asani se change kar sakte hai. ye method dono type ke phone me work krta hai rooted or non rooted mobile me. to dosto aise hi technology ki jankari pane ke liye daily visit kare digital hindi club or jane internet ki jankari hindi me.

By Ankur

Leave a Reply