Hello friends Aaj hum baat karne wale hai COmputer Window se Releted Bootable Pendrive ke bare me. jisme aap janege ki win 7/8/10 keliye Bootbale Pendrive kaise banaye. Apko pta hoga ki computer me Window Install karne ke liye Window CD ki jarurat hoti hai. Agar Apke Pass Window CD nhi hai To aap Apni PenDrive Ko Bootable Bana Sakte hai or usase apne computer laptop me window install kar sakte hai.

USB Bootable Pendrive banane se bahut fayde hai jaise agar aap kahi jate hai apne laptop ko lekar to uske sath aap pen drive le ke ja sakte hai jisase agar window ki jarurat hoti hai to aap pen drive se window daal sakte hai. Kabhi kabhi kya hota hai window ki Cd Rakhi Rakhi kharab ho jati hai acche se kaam nhi karte hai to aape se time me window To pendrive me copy karke usko bootable bna ke estemaal kar sakte hai. Aap Bootable Use Pendrive Me koi bhi Window Copy kar sakte hai Jaise Window 7, Window 8, Window 10, enmese koi bhi.
Bootable pendrive banane ke liye apke Pass Computer hona chahiye or ek software bhi jis ka naam Win To Bootic hai. Or apke Pass window bhi copy honi chahiye kisi bhi folder me jise aap apni pendrive me daloge. TO chaliye jante hai ab step By Step.

Win 7/8/10 keliye Bootable Pendrive Kaise Banaye –

Dosto Pendrive Ko Bootable banane ke liye aapko bataye gye sabhi Steps Acche se follow karne hai.
MEHTOD – 1
STEP:- 1 Sabse Pahle Aap Apne Computer Me WinTobootic Name ka software Download karke install kare.
STEP:- 2 Software Download ho jane ke baad wo Zip File me aayega Esliye use Win Rar Se Extract karle.
STEP:- 3 Ab aap pendrive ko apne computer ya laptop me lagaye yaad rakhe ki pendrive 8Gb or usase jyada Memory wali ho.
STEP:- 4 Ab Aapne jo software Download kIya tha use Open kare Jisme Apke samne 2 option aayege pahla To Pendrive select karne ke liye hoga. Or Dusra Option me aapko Window Ki File Select karni hai jise aap pendrive me dalna chahte hai.
STEP:- 5 Ab aap software me Left side me Pendrive Select kare Or Fir Quick FOrmate wale Option Par tick kare. uske Baad Drop Source Or Click par Click kare or window ki file select kare.
Make use Pendrive Bootable Hindi Method
Bootable pendrive kaise banaye
STEP:- 6 uske baad Do It wale option par click karde.
 
STEP:- 7 Ab Pendrive Bootable Banane ki processing start ho jayegi or kuch time baad, Successfull process ka Message aayeja. Jiska Matlab hai ki Apki Pendrive Successfully Bootable ban chuki hai.
Pendrive Bootable kaise banaye Process
Dosto ye hai First Method Jisase Aap USB bootable bna sakte ho. agar Aapko es software ko estemaal karne me koi problem aati hai to Aap Dusra method use kar sakte hai.

Bootable Pendrive banane ka tareeka –

METHOD – 2
 
Friends YE Second Method hai esme aap Microsoft company ke software  Windows 7 USB/DVD Download Tool ka estemaal karke use device ko  Bootable bana sakte hai. Second method janane ke liye Sabhi Steps Follow kAre.
Step:1 Sabse Pahle aapapne Computer Me  Windows 7 USB/DVD Download Tool software Download kare or fir install kare.
Step:2  Ab Software Ko Open kare Or Fie Window Select karne kel iye Browse wale option par clicl krke win ISO File select karke next par click kare.
How To Make Use Pendrive bootable hindi Method
STEP:3 Ab aapko  USB Drive Wale Option par click karke Use Drive select karni hai. Yaad rhe Use Pendrive ka size 4GB se jyada ho.
STEP:4 use drive select karne ke baad Begin Copying par click kare.
STEP:5 Thodi Der Wait kare uske baad  pendrive bootable ban jayegi. processing me 10-12 Minutes ka samay lag sakta hai agar aapka computer ki speed acchi hai to jaldi processing ho jayegi.
ALSO READ:-
FInal Word –
 
Friends Ye thi jankari Bootable Pedrive kaise Banaye uski. jisme maine aapko 2 Method bataye jiske jariye aap koi bhi window 7/8/10 ki use Pendrive ko Bootable bana sakte hai. Muje asha hai aapko meri ye jankari jarur helpfull lagi hogi. Agar aapko jankari acchi lagi to ese share jarur kare or aisi hi technology ki janakri me jane.

By Ankur

Leave a Reply