Hello friends, Agar aap paytm wallet use karte hai or agar aap paytm se apna Account Block karna chahate hai to ye post apke liye bahut usefull hone wali hai. aaj hum batayege ki Paytm Account delete kaise karte hai ya Paytm Account Deactivate kaise karte hai permanently. india me Paytm ek bahut hi popular App and Website hai. uska estemaal hum online transaction ke liye karte hai. jaise Online Recharge, Bill payment, shopping or bhi bahut sare kamo ke liye. Waise to paytm bahut hi accha option hai online transaction keliye. lekin agar aap kisi problem ki wajah se apna Paytm Account Deactivate Ya Paytm Account Delete Karna Chahate Hai to aap sahi post pad rhe hai.

Delete Paytm Account Permanently
Delete Paytm Account Permanently

Paytm Apne users ko kuch na kuch offer deta rahta hai jisase user paytm ke touch me rhe, jaise shopping sell, coupon codes, Recharge cashback jaise offer deta rahta hai. But kabhi kabhi kuch aise karan bhi ban jate hai jisase paytm wallet user Apna Account Band krna chahte hai. Aap ye kaam aasani se kar sakte hai par eske liye pass ek unique Reason hona chahiye jisake karan aap apna account delete karwana chahate  hai. wo reason kuch bhi ho sakta hai.

Agar Apka account ki detail kisi or ko pta chal gya ho, ya fir apke Paytm wallet me transaction ke time koi problem aa rhi ho ya fir or koi valid reason hona jaruri hai. jisase Aap paytm customer Care se Sampark karke apna Account ko Deactivate/Block kara sakte hai.

Paytm Account Delete or Deactivate kaise kare –

 Account delete/Block karne ke 2 simple method hai jinhe follow karke aap apna account aasani se delete kar sakte hai. to chalue jante hai.
Method- 1
 
Sabse Pahle Method me Apko apne Paytm par Register Email se paytm customer care ki email id par mail send karna hai jisme aapko ek valid reason likhna hai jiski wajah se aap apna account delete krna chahte hai. Acche Se samjne ke liye Steps Follow kare.
1. Sabse Pahle Apna Gmail Account login kre jis gmail se apne paytm account banaya hai whi gmail se login kare.
2. Uske Baad Compose par click kre. Ab Apko Paytm Customer Care Ki Email care@paytm.com 
par mail send karna hai. 

delete paytm account by sending mail to customer care
Delete paytm account by sending mail to customer care


3. Email wale option me Paytm Care ki email type kare or Subject me image me jo likha hai  wo likh de or niche wale box me Ek Valid Reason likhe jisaki wajah se aap apna Account delete karna chahte hai.
 
4. Uske Baad Email Send karde. Ab aap 24 hour se 48 hour tak wait kare. 1 2 din baad apko paytm ki taraf se email aayega jisme apke account ka status likha hoga ki unhone apka account delete kar diya hai ya nhi. agar nhi kiya hai to aap dobara mail likhe.

Method -2 
 
Second Method Me aap apne paytm App se bhi Paytm care se contact kar sakte hai or apni problem bta ke apna Paytm account ko block karwa sakte hai ye bhi ek accha method hai eske liye bas apko humare dwara batayeg gye kuch steps follow karne hai.
 
1. Apke pass Paytm App hona jaruri hai Agar apke Pass Paytm app nhi hai to aap ese download kare pahle.
 
2. Ab Aap Paytm app Open kare or Smile Emoji wale option par click karke  Help & Support me jaye.
 
3. Ab aap Resolve issue par click kare uske baad apko My Account ka option dikhega fir aap My Account par click kare.
 
4. Ab apke Samne Bahut saare issue Option aa jayege jinme se apko ek valid issue select karna hai. aap I have Lost My Mobile wale Option par click kre or fir I Want to block my account wale option par click kare.
 
5. Ab apke samne ek or page khulega usme apko message us par click karna hai.
6. Message us par click karne Ke Baad paytm ki taraf se ek form aayega us form ko apko fill krna hai . jisame apko Ek Valid Issue likhna hai uske baad agar apke pas apke paym wallet ka screenshot hai to use upload kar dena agar nh hai to ese khali chhor de or email wale option me apna paytm register email type karke send par click karde.
Ab aap ek 2 din wait kare 24 se 48 hour me apko paytm se ek feedback email aayeja jisme bataya jayega ki unhone apka Paytm account delete ho chuka hai.
to dosto apko ye jankari kaise lgi aap humara dwara batagye setps ko follow karke apna Paytm account Delete kar sakte hai block kar sakte hai. apko ye post helpfull gyi to ese share jarur kre. or aisi hi technology ki rochak jankari ke liye roj visit kare or internet ki jankari hindi me paye dhanywad.

By Ankur

Leave a Reply