Categories Android kaise kare

Android Mobile Ki Speed Ko Fast And Smooth Kaise Kare.

 Dosto Aaj hum baat karege ki Android Mobile ki Speed Fast Kaise Kare, Android Mobile Ko Hang Problem Kaise Sovle kare. Android Mobile ekdam Computer Ke jaise bane hote hai. software or hardware me. aap ke samay launch hone wale mobiles ki performace speed acchi hai. kyuki new mobiles me Ram, Storage, Processor sab advance hai jo ki mobile ki speed ko badate hai. par kuch mobile aise bhi hai jo samay ke sath sath uski  speed performance down hoti jati hai. uske kayi karan ho sakte hai.
kyuki aaj kal ke apps bahut Jyada RAm Khate hai Storage bhi or sath sath Processor bhi. Android Mobile Me Km RAM hone ki wajah se mobile ki perforamce down ho jati hai. kabhi kabhi mobile ki speed chache memory, old updates Apps, or Multitasking, virus jaise karano se bhi mobile ki speed slow ho jati hai. To Aaiye jante hai Android Mobile ki speed kaise badaye.

Android Mobile Ki Speed Ko Fast And Smooth Kaise Kare.
Android Mobile Ki Speed Ko Fast And Smooth Kaise Kare.

Agar Apka Mobile Bhi Hang Hota Hai Slow Chalta Hai to apko ye Artical jarur padna chahiye jisme hum apko best tips batane wale hai  Android Mobile Ki Speed kaise badaye, Android Mobile Hang PRoblem Kaise Dur kare.


Mobile ki performance acchi karne ke liye  Apne Mobile ki jarurat or capecity ke hisab se mobile use karna hai. jo hum apko batane wale hai esliye niche di gyi Tips Ko jarur Follow kare.

Also Read:- 
1. Android Phone Root Karne ke Baad kya Kare
2. Android Phone Ko Fast charge karne ke App
3. Android Smartphone Ke All Sensor ki puri jankari
4.New Android SmartPhone (Buy) खरीदने से पहले रखे इन 5 बातों का ध्यान – 2017

Android Mobile Speed Fast Kaise Kare – Mobile Hang Problem kaise solve kare.

1. INstall Only Usefull App- 
Mobile Me wahi Apps Ko Install kre jinaki me jarurat jo humare kaam aate ho. play store par bahut saare apps or games mojud hai jinko dekhkar har koi unko install karna chahega. chahe wo games ho ya faltu ke apps. par  hume ye nhi hota hota ki humne jo app install kiya hai wo humare mobile ki Ram or Processor par kitna Load Daal rha hota hai, jisase mobile ki speed bahut slow ho jati hai. or ve apps backgroud me mobile ki aisi taisi kar dete hai or sath hi sath mobile ki battery par bhi effect padta hai.. esliye hum apko Advice dege ki aap sirf wahi apps Install kre jisko Aap Daily use karte hai, jo mostly Install krna jrur hai. acchii performace ke liye mobile me faltu ke apps ko uninstall jrur karde.
2. Mobile Storage Space Khali Rakhe – 
 
Ye Baat bhi sach hai Ki RAM ke Sath Sath Mobile Ke Storage Ko khali rakhne se mobile ki speed badti hai. Esliye Aap apne Mobile Ki Storage Space Ko khali rakhe jisase Apka mobile FAst And Smooth kaam karega. apne Mobile Ki storage Check karne ke liye “Mobile Setting”- “Storage” me jaye yha par apko sab jankari mil jayegi ki apke mobile me kitna space khali hai.
3. Phone Ko Update Kare – 
 
Sabhi Mobile Company apne device ko Accha or smooth banane ke liye apne software hone wali Error or Bug ko fix karti rahti hai or apne users or customers ko Mobile Update ke liye Btati hai. jisase apke mobile ki speed acchi ho sake apke mobile me hone wale error bug fix ho sake. esliye aap humesa apne mobile ke software ko update karte rhe. jaise hi company apko new update degi uski notification apko apne mobile me milti rahegi. esliye mobile ke software ko update kare. Update Check karne ke liye “Setting”>About>Check Update”  par click kare. Ye sabse Accha Tarika hi mobile speed badane ka.
4. Ram Booster – Speed Booster jaise App se Dur rhe – 
 
Google play store or App store bahut saare aise apps se bhara pda hua hai. jo speed boost Ram boost karte hai or apko lagta hai ki ye apps humare mobile ki speed bda dege or hanging problem solve kar dege. par aap bahut bde dokhe me hai kyuki Es Types ke Apps Install karne ke baad mobile pahle se bhi jyada hang hone lagta hai. kyuki ye apps install hone ke baad mobile ke backgroud me khud ki bahut saari service chalu kr dete hai jisase mobile RAM or PROCESSOR par bahut Load Padta hai or Mobile Slow OR Hang Hone Lag jata hai. esliye en types ke apps ko install na kre.
5. Restart Mobile Daily – 
 
Mobile Ki Speed Boost karne ke liye ye sabse Acchi Tips hai jisase Apka Mobile  2 3 minutes me mast chalne lagega. Agar aap apne mobile ko daily Restart karege to esase apke mobile me chalne wale faltu apps autometically Stop ho jayege. jo ki backgroud me apki Ram ko kha rhe the. Esliye Mobile Ko Fast krne ke daily aap apne mobile ko roj restart kre. Es Tips se apke Android mobile ki speed bad jayegi.
6. Factory Reset Kare –
 
Factory Reset karne se apka mobile ekdam new jaisa ho jata hai. jaisa aap first time mobile leke aaye hoge same usi ke jaisa. factory reset karne se apke mobile ka All DATA+Contact Sab kuch delet ho jata hai or phone ekdam new jaisa ho jata hai. Agar Phone Jyada Slow chal rha hai.  to aap phone ko factroy reset karke mobile ko thik kar sakte hai. Jisase Mobile Me Hone Wali Junk FIles, Virus, temprery file or bhi bahut sare bug fix ho jate hai jo device ko faster or smooth bana dete hai. but dhyan rhe ki Factory Reset karne se pahle apne Sabhi Data ka Backup LEle. esase AApke mobile ki speed bad jayegi boost ho jayegi.
To Dosto ye thi Android mobile ki speed kaise badaye fast kare uski jankari. Aap humare dwara bataye gye tips se apne mobile ko hang hone se bacha sakte hai mobile ki speed increase kar sakt hai. agar apko humari jankari acchi lagi to ease jarur share kare or humare sath jude hai aise hi jankari ke liye.

More From Author

Leave a Reply