Categories Android

Android Mobile Root Karne Ke Bad Kya kare

Dosto Android Phone Root Karne Ke baad apke man me ye khayal to jarur aaya hoga ki android phone root karne ke baad kya karna chahiye android phone root karne se kya fayde hai. to dosto aaj hum apke sabhi quetions ka answer dene wale hai. Agar Apne bhi Apna Android Phone Root kiya hai to ye Article apke liye bhi bahut jankari wala hai. jisase aap apne mobile ke sath bahut kuch kar sakte hai. Agar  Apka Phone Rooted nhi hai to sayad Aap apne phone ke sath bahut kuch miss kar rhe hai.
or hum eske bare me pahle bhi bata chuke hai ki Android Phone Root Kaise Kare Without Pc.
Phone Root Karne Ke liye HUmara ye Article pade.

dgital hindi club- Android Mobile Root Karne Ke Bad Kya kare
Android Mobile Root Karne Ke Bad Kya kare

To Dosto Aiye jante hai ki Android Phone Root karne ke baad kya kre. Phone Root karne se kya kya Fayde hai bahut kuch. bahut sari jankari pane ke liye es post ko pura pde jisase aap apne mobile ko ek Advance Feature wala phone bna sakte hai.

Also Read:- 
1. Android Mobile Root Kaise Kare Hindi Me jane.
2. Android Mobile System App Unistall Kaise Kare
3. Android Phone Ki Speed Fast Kaise kare
4. Android Phone FAst Charge Kaise Kare – Top 3 Apps

Android Phone Root Karne Ke Baad Kya Kare-

Mobile Root karne ke baad Aap apne mobile ke sath kuch bhi kar sakte hai. Matlab ki Rooting ke Baad Mobile ekdam Freedom ho jata hai uske upar koi bhi dabab ni rahta aap phone ke sath kuch bhi kar sakte hai. chaliye jante hai Root phone ke fayde.
1. Android Phone Ki Ram/Internal Memory Increase kar sakte hai-

Yes Dosto agar apka phone Rooted hai to aap apne phone ki “Ram or Internal Memory bhada”(Increase) kar sakte hai. Agar apke Mobile me RAM bahut kam hai jisase apka mobile hang hota hai. ya fir Phone Me Internal Space kam hai jisase Aap jyada Data store nhi kar sakte. fir to ye apke liye bahut badiya hai AAp Apne phone ko Root karne uski Ram Memory Badha sakte hai.
Increase Ram & Storage

2. Android Phone Ko Kahi se Bhi Switch Off kar sakte hai SMS Bej Kar –

Ye Ekdam sach hai Aap kahi bhi beth kar apne phone ko switch off kar sakte hai sirf ek sms bej kar or ye bahut accha Feature hai. Agar Apka phone kahi gir jata hai kho jata hai ya fir kisi ko de dete hai to aap kahi se bhi us mobile ko switch off kar sakte hai.

3. Change Boot Animation –

Agar Apko Boot Animation ke Bare Me nhi pata ki Boot Animation kya hote hai to hum aapko bta de ki Boot Animation wo Hota Hai Jab hum kisi bhi android phone ko Switch On/Off karte hai to us time aane wale Animation Cartoon logo ko Boot animation kahte hai. Agar Apka Mobile Root hai to aap asani se use change kar sakte hai apne hisab se koi bhi acha sa logo lga sakte hai.

4. Font Change kar sakte hai –

Agar Aap phone ke font se pareshan ho chuke hai to kuch new try krta chahhte hai to ye apke liye bahut accha hai. kyuki Aap root ke baad phone ke font ko aasani se change kar sakte hai or apni pasand ke koi bho custom font me lga sakte hai.

5. Custom Rom Flash kar sakte hai –

Android Phone Me Custom Rom Install kar sakte hai jisase Phone Ka Look ekdam change ho jayega jisase mobile me hone wale error bug sab fix ho jayege. jisase Phone ki Speed Performance Increase Ho jayegi or Phone ekdam Mast chalega. OR Mere Hisab se Rooting ke Baad Sabse Pahle Custom Rom hi Flash karni chahiye.

YE bhi Jane:- 
To Ye thi Android Phone Root Karne Ke baad Kya karna chahiye uski jankari or sayad apko ye jarur pasand aayi hogi. or eske padne ke baad aap ye jarur jaan gye hoge ki Android Phone Root karne ke kya kya fayde hai. Agar aap in di gyi jankari ko use karege to aap apna phone ko ek Advance phone bna sakege.

More From Author

2 comments

mintu says:

Phone ko root k bad uski ram ko kese increase kre…

eske baare me. mein jaldi hi post dalne wala hu,, aap visit krte rhe

Leave a Reply