Categories Android Cartoon video

Animation Cartoon Video Kaise Banaye Android Phone Se.

Hello Friends Aaj me aapke liye Ek Bahatreen Jankari leke aaya hu. Es jankari me aap sikhege ki android phone se animation cartoon video kaise banate hai. aapne bahut saari cartoon video dekhi hogi jo bahut funny hoti hai. un videos me alag type ke log alag type ki aawaz me bolate hai. Cartoon videos me aap alag alag type ke charector laga sakte hai or apni aawaz record karke us video me laga sakte hai jisasse video or bhi majedaar ho jati hai. Aap es type ki cartoon video ka estemaal lecture and youtube  jaisi video me kar sakte hai. Maine Bahut saari aisi video banayi hai apne android phone se. jinhe banana bahut hi aasan hai. aap bhi video bna kar maje kar sakte hai.

Animation Cartoon Video Kaise Banaye Android Phone Se.
Animation Cartoon Video Kaise Banaye Android Phone Se.

Cartoon Video Banane ke liye Aapke pass android phone hona bahut jaruri hai. kyuki ye method sirf android phone walo ke liye hai. Cartoon video banane ke liye hum ek App ka estemaal karte hai jiska name Tellagami hai. yah app bahut accha app hai jiski size bhi kam hai. aap aasani se apne phone me install kar sakte hai.

Tellagami app kaam kaise karta hai. Agar aapke man me bhi yhi sawal hai to hum aapko bta dete hai. Es app me bahut saari Animation Cartoon ki Category hoti hai. jha se aap koi bhi category select kar sakte hai. Esme Aap Male or Female Animation Charector Select karke or  khud ki aawaz ya song dalna hota hai. uske baad ye apne aap kaam karne lagta hai. or fir cartoon video bna ke de deta hai. Acche se samjne ke liye niche bataye gye sabhi Steps Acche se follow kare.

Android Phone Se Cartoon Video Banane Ka Tarika Step by Step –

YE kuch Steps Hai jo aapko follow karne hai. step follow krne ke sath baad bahut acchi video bna sakte hai.
STEP:-1 Sabse pahle aap  TELLAGAMI App Download Kare OR Fir INstall kare.
Download Kare Click.

STEP:-2 Jab app Install ho jaye uske baad app open kare or fir Create Wale option par click kare.

STEP:-3 Ab apke samne bahut saare option aayege jaise ki – Charecter, Emotion, Backgroud. to Aap alag alag option par click karke apne charecter ko customize kar sakte hai.

Also Read
.Google Play Store Paid App Free Download Kaise KAre
Picsart Cool and Stylish Photo Edit kaise kare

  • Charecter – Charecter Wale option par click karke aap apne cartoon animation ko apne hisab se change kar sakte hai. Jaise Gender Wale Option se male or female select kar sakte hai. Eye wale Option se Aap Ankho ka colour change kr sakte hai. skin colour or Hair Style apne hisab se select kar sakte hai.
Select Charecter, eyes, head, hair for cartoon video creator on phone
  •  Emotion –  Emotion wale optionse Aap charecter ke emotion change kar sakte hai. Jaise Happy, Sab, Confuse. Angry Emotion Apni jarurat ke hisab se customize kar sakte hai. jisase cartoon video or bhi majedaar ban jati hai.
Create cartoon video on android phone with Emotion feeling charector
  • Background – Backgroud Wale Option se Aap Animation video ka Background change kar sakte hai. Esme Bahut alag alag type ke backgroud mil jate hai. agar aap khud ka backgroud lagana chahte hai cartoon video me to aap wo bhi kar sakte hai.
select backgroud for cartoon video creator
STEP:-4 Jab Aap Apne Cartoon charecter ko apne hisab se customize karle uske baad aap back button press kare or fir record wale option par click kare. uske Baad apni aawaz me kuch bole ot record karle. Jab Recording finish ho jayegi tb app apki Voice Ko Video Me analyis kar dega or Animation charecter apki voice ke hisaab se Action karega.
Final Word –
 Friends Ye hai Jankari Animation Cartoon Video Kaise Banate hai phone me. OR muje aasha hai Ki Aapko Ye jankari helpfull lagi hogi. Dosto Aap es type ki video bnakar kahi bhi use kar sakte. agar aap aisi technology ki jankari hindi me janana chahte hai to daily visit kare digital hindi club.

More From Author

Leave a Reply